aur bhi aaenge kuchh ahl-e-wafa mere baad
aur bhi nikhregi duniya ki faza mere baad
e'tiraf apni KHataon ka main karta hi chalun
jaane kis kis ko mile meri saza mere baad
zindagi sath hai aur dar-o-rasan par hai nazar
KHud badal jaega mafhum-e-qaza mere baad
ghaebana bhi taaruf mera kya kya na hua
hae wo shaKHs ki jo mujh se mila mere baad
zaKHm-e-dil hain mere phulon ki guzar-gahon mein
narm-rau rahna zara baad-e-saba mere baad
kal teri bazm ka har ek trahdar-e-wafa
lazzat-e-rashk se mahrum hua mere baad
kash us se bhi taaruf mera hota 'nuri'
jis pe wo pahle-pahal honge KHafa mere baad

Ghazal
Aur bhi aaenge kuchh ahl-e-wafa mere baad
Karrar noori