اردو हिंदी
Aur ant mein judai baDi karb-nak hai | Shaahi Shayari
aur ant mein judai baDi karb-nak hai

Ghazal

Aur ant mein judai baDi karb-nak hai

Nasir Shahzad

;

aur ant mein judai baDi karb-nak hai
tujh mujh mein yun to roz-e-azal se wifaq hai

niche kahin badan mein miTi KHwahishon ke KHwab
upar daraazi-e-gham-e-dauran ki KHak hai

sakhiyan sajili bhor nayan darpna ki or
aanand por por ajab inhimak hai

qilon ke ye hisar nahin qurbaton ke dayar
in burjiyon ke par hawa-e-firaq hai

nyare piya ke rup kahin gun kahin sarup
mathura ka baadshah kahin bhainson ka chaak hai

ye rajdhaniyan yahan be-bas kahaniyan
kangan mein hath hai kahin nathli mein nak hai

miTha miThas se hai wo ujla kapas se
baaton mein ishtirak milan mein tapak hai

miTTi ki sab sifaraten bandhan bashaaraten
sabza nadi kinaron mazaron pe aak hai

haq-goi ham-rikab darida-badan ke bab
karbal kitab sidq siyaq-o-sabaq hai