aur abhi tez dauDna hai mujhe
zindagi dur ki sada hai mujhe
hun musalsal safar mein misl-e-hawa
KHud-sari meri rahnuma hai mujhe
jaane us ki judai kya hogi
jis ka milna hi hadsa hai mujhe
wo bhi yaad aaega KHuda ke sath
wo bhi mamnun kar gaya hai mujhe
ho chuka KHatm daur KHwabon ka
ab haqaeq ka samna hai mujhe
wo ki jabir hai KHwahishen masum
zist maidan-e-karbala hai mujhe
KHatm hai dil pe dastan-goi
kuchh musalsal suna raha hai mujhe
Ghazal
Aur abhi tez dauDna hai mujhe
Roohi Kanjahi