aur ab ye kahta hun ye jurm to rawa rakhta
main umr apne liye bhi to kuchh bacha rakhta
KHayal-subhon kiran-sahilon ki oT sada
main motiyon jaDi bansi ki lai jaga rakhta
jab aasman pe KHudaon ke lafz Takraate
main apni soch ki be-harf lau jala rakhta
hawa ke sayon mein hijr aur hijraton ke wo KHwab
main apne dil mein wo sab manzilen saja rakhta
inhin hadon tak ubharti ye lahar jis mein hun main
agar main sab ye samundar bhi waqt ka rakhta
palaT paDa hun shuaon ke chithDe oDhe
nasheb-e-zina-e-ayyam par asa rakhta
ye kaun hai jo meri zindagi mein aa aa kar
hai mujh mein khoe mere ji ko DhunDta rakhta
ghamon ke sabz tabassum se kunj mahke hain
samay ke sam ke samar hain main aur kya rakhta
kisi KHayal mein hun ya kisi KHala mein hun
kahan hun koi jahan to mera pata rakhta
jo shikwa ab hai yahi ibtida mein tha 'amjad'
karim tha meri koshish mein intiha rakhta
Ghazal
Aur ab ye kahta hun ye jurm to rawa rakhta
Majeed Amjad