aur ab kya kahen ki kya hain hum
aap hi apne muddaa hain hum
apne aashiq hain apne warafta
aap hi apne dil-ruba hain hum
aap hi KHana aap KHana-KHuda
aap hi apni marhaba hain hum
ishq jo dil mein dard ho ke raha
KHud usi dard ki dawa hain hum
raaz-e-dil ki tarah zamane mein
the chhupe aaj barmala hain hum
kyun na ho arsh par dimagh apna
kis ke kuche ki KHak-e-pa hain hum
har koi aashna samajhta hai
aur yan kis ke aashna hain hum
ibtida ki bhi ibtida hain hum
intiha ki bhi intiha hain hum
hum to bande 'nizam' un ke hain
wo baja kahte hain KHuda hain ham
Ghazal
Aur ab kya kahen ki kya hain hum
Nizam Rampuri