auqat-e-shaiKH go ki sujud o qayam hai
mere kane to ek KHuda hi ka nam hai
har subh uTh buton se mujhe ram ram hai
zahid teri namaz ko mera salam hai
teri nigah ke daur mein aisa hua hun mast
saghar se mujh ko aankh milana haram hai
hum aur teri shikayaten zalim KHuda se Dar
bohtan hai ghalat hai ye mahz ittiham hai
din ko na bhuk hai na mujhe raat ko hai nind
is rozgar mein ye meri subh o sham hai
marta hun aa ke dekh tere intizar mein
warna sunega ab koi dam ko tamam hai
qasid kahan chala hai mujhe bhi KHabar to de
yak dam tu baiTh ja ki mujhe tujh se kaam hai
tujh ko qasam KHuda ki jo jata hai us taraf
tu bhuliyo na itna hi mera payam hai
kahiyo meri taraf se na pahuncha mera jawab
itna dimagh kya tera 'hatim' ghulam hai
qasid se us ne sun ke haqiqat kaha ki wah
kya KHub is suKHan ka koi ye maqam hai
kahna use yahi tu ki ai bul-hawas hanuz
aashiq hua to par ye tera ishq KHam hai
mashuq ki janab mein koi bhi be-adab
bola hai is tarah se jo tera kalam hai
Ghazal
Auqat-e-shaiKH go ki sujud o qayam hai
Shaikh Zahuruddin Hatim