aune-paune ghazlen bechin nazmon ka bewpar kiya
dekho hum ne peT ki KHatir kya kya karobar kiya
is basti ke log to sab the chalti phirti diwaren
hum ne rang luTati shab se ujle dinon se pyar kiya
zehn se ek ek kar ke teri sari baaten utar gain
kabhi kabhi to waqt ne hum ko aisa bhi na-chaar kiya
apna-ap bhi khoya hum ne logon se bhi chhuTa sath
ek sae ki dhun ne hum ko kaise kaise KHar kiya
sare ahd ka bojh tha sar par dil mein sare jahan ka gham
waqt ka jalta ubalta sahra hum ne jis dam par kiya
jagti galiyon unche gharon mein zard andhera nachta hai
jis lamhe se hum Darte the us ne aaKHir war kiya
sham ki ThanDi aahon mein bhi teri KHushbu shamil thi
raat gae tak peDon ne bhi tera zikr-azkar kiya
Ghazal
Aune-paune ghazlen bechin nazmon ka bewpar kiya
Mahmood Shaam