اردو हिंदी
Ata-e-gham pe bhi KHush hun meri KHushi kya hai | Shaahi Shayari
ata-e-gham pe bhi KHush hun meri KHushi kya hai

Ghazal

Ata-e-gham pe bhi KHush hun meri KHushi kya hai

Anwar Sabri

;

ata-e-gham pe bhi KHush hun meri KHushi kya hai
raza talab jo nahin hai wo bandagi kya hai

teri nigah ki naqqashi-e-hasin ke siwa
tu hi bata mera mafhum-e-zindagi kya hai

sitam-shiar jafa-ashna wafa-dushman
ye nang-e-azmat-e-adam hai aadmi kya hai

tera tasawwur-e-rangin agar na ho shamil
bahaar-e-gulshan-e-imkan mein dilkashi kya hai

zamana aap ka kahta hai jis ko aks-e-jamil
nazar uTha ke to dekho ye chandni kya hai

tamam umr qafas mein guzar di hum ne
KHabar nahin ki nasheman ki zindagi kya hai