asr-e-jadeed aaya baDi dhum-dham se
lekin shikast kha gaya pichhle nizam se
karta hai koi tark-e-talluq bhi is tarah
mahrum ho gaya hun payam-o-salam se
zardar ke salam mein sabqat sabhi ki hai
mahrum muflisi hai jawab-e-salam se
kis ki sada fazaon mein gunji hai chaar-su
kis ne mujhe pukara hai bachpan ke nam se
bechainiyon mein raat guzarti hai is tarah
aaseb koi gher le jaise ki sham se
ab ba-shuur log bhi ye sochne lage
rakhna hai hum ko kaam faqat apne kaam se
saffakiyan baDhin to darinda-sifat bana
insan gira hai aadamiyyat ke maqam se
barish nahin hui to mujhe faeda hua
mahfuz hai makan mera inhidam se
halki hansi ne fikr ko zau-bar kar diya
phuTi kiran ki tarah lab-e-tashna-kaam se
ye to hai fazl-e-rab ki tarannum hua nasib
lekin bayaz KHali hai KHud ke kalam se
Ghazal
Asr-e-jadeed aaya baDi dhum-dham se
Haidar Ali Jafri