asr-e-hazir ka jo insan nazar aata hai
bas pareshan pareshan nazar aata hai
nafrat-o-bughz ki masmum hawa aisi chali
kucha-e-jaanan bhi viran nazar aata hai
meri hasti ki imarat bhi gira sakta hai
us ki aankhon mein jo tufan nazar aata hai
zinda insan bhi jalte hain chitaon mein jahan
mulk ye aisa hi shamshan nazar aata hai
hadisa kaisa ye guzra hai ki har su mujh ko
karb-o-azar ka tufan nazar aata hai
is qadar baDh gai saffaki-e-insan 'ahsan'
jis ko dekho wahi haiwan nazar aata hai
Ghazal
Asr-e-hazir ka jo insan nazar aata hai
Ahsan Imam Ahsan