asnam-e-mal-o-zar ki parastish sikha gai
duniya mujhe bhi aabid-e-duniya bana gai
wo sang-e-dil mazar-e-wafa par ba-nam-e-ishq
aai to mere nam ka patthar laga gai
mere liye hazar tabassum thi wo bahaar
jo aansuon ki rah pe mujh ko laga gai
gauhar farosh shabnami palkon ki chhanw mein
kya aag thi jo ruh ke andar sama gai
mere suKHan ki dad bhi us ko hi dijiye
wo jis ki aarzu mujhe shair bana gai
'sahba' wo raushni jo bahut mehrban thi
kyun mere raste mein andhere bichha gai
Ghazal
Asnam-e-mal-o-zar ki parastish sikha gai
Sahba Akhtar