asl mein maut to KHushiyon ki ghaDi hai yaro
zindagi karb hai ashkon ki jhaDi hai yaro
koi rota hi nahin ghair ki barbaadi par
har bashar ko yahan apni hi paDi hai yaro
waqt aane pe har ek shaKHs dagha deta hai
aisa lagta hai qayamat ki ghaDi hai yaro
apne anjam se ghafil na raho fikr karo
maut farman liye sar pe khaDi hai yaro
muskura kar bhi agar koi kabhi milta hai
is zamane mein yahi baat baDi hai yaro
rah chalton ko ye paigham 'sahar' deta hai
husn-e-kirdar to jadu ki chhaDi hai yaro

Ghazal
Asl mein maut to KHushiyon ki ghaDi hai yaro
Sahar Mahmood