اردو हिंदी
Asiri mein tabahi raunaq-e-kashana ho jae | Shaahi Shayari
asiri mein tabahi raunaq-e-kashana ho jae

Ghazal

Asiri mein tabahi raunaq-e-kashana ho jae

Mohammad Zakariyya Khan

;

asiri mein tabahi raunaq-e-kashana ho jae
qafas hi nalon se jal kar charagh-e-KHana ho jae

taghaful sazgar-e-shauq-e-ahl-e-dard kya hoga
ada se do fareb aisa ki dil diwana ho jae

na kahna ghair se qasid ki main matlab nahin samjha
payam-e-yar hai hai mani-e-begana ho jae

nahin kyun hazrat-e-musa ki betabi ke ham-pairaw
ki raaz-e-dil zaban par aae aur afsana ho jae

kahan tak zabt-e-be-tabi dil-e-miskin mujhe Dar hai
teri KHu-e-tahammul se wo be-parwa na ho jae

fughan karte hue ja pahuncho us ki bazm-e-ishrat mein
kabhi to ai 'zaki' ye shoKHi-e-rindana ho jae