asiran-e-qafas sehn-e-chaman ko yaad karte hain
bhala bulbul pe yun bhi zulm ai sayyaad karte hain
kamar ka tere jis dam naqsh hum ijad karte hain
to jaan farman aa kar mani o bahzad karte hain
pas-e-murdan to rahne de zamin par ai saba mujh ko
ki miTTi KHaksaron ki nahin barbaad karte hain
dam-e-raftar aati hai sada pazeb se teri
lahad ke KHastagan uTTho masiha yaad karte hain
qafas mein ab to ai sayyaad apna dil taDapta hai
bahaar aai hai murghan-e-chaman fariyaad karte hain
bata de ai nasim-e-subh shayad mar gaya majnun
ye kis ke phul uThte hain jo gul fariyaad karte hain
masal sach hai bashar ki qadar neamat baad hoti hai
suna hai aaj tak hum ko bahut wo yaad karte hain
lagaya baghban ne zaKHm-e-kari dil pe bulbul ke
gareban-chaak ghunche hain to gul fariyaad karte hain
'rasa' aage na likh ab haal apni be-qarari ka
ba-rang-e-ghuncha-lab mazmun tere fariyaad karte hain
Ghazal
Asiran-e-qafas sehn-e-chaman ko yaad karte hain
Bhartendu Harishchandra