اردو हिंदी
Asiran-e-qafas aisa to ho tarz-e-fughan apna | Shaahi Shayari
asiran-e-qafas aisa to ho tarz-e-fughan apna

Ghazal

Asiran-e-qafas aisa to ho tarz-e-fughan apna

Aasi Ramnagri

;

asiran-e-qafas aisa to ho tarz-e-fughan apna
ki ho sayyaad KHud bhi rafta rafta ham-zaban apna

kiye ja kaam han ai gardish-e-daur-e-zaman apna
hamein bhi dekhna hai kaise miTta hai nishan apna

adu hain bijliyan apni na dushman aasman apna
hamein KHud apne hathon phunkte hain aashiyan apna

na kho de sust-gami hum ko bazi-gah-e-hasti mein
na gard-e-karwan rah jae ban kar karwan apna

chaman ke patte patte par hain yarab bijliyan qabiz
kahan le jaen murghan-e-chaman ab aashiyan apna

urus-e-manzil-e-maqsud mil hi jaegi ek din
yunhi chande raha garja wo paima karwan apna

jala den hum qafas ki titliyan shoala-nawai se
har ek murgh-e-chaman 'asi' agar ho ham-zaban apna