asiran-e-ishq-e-butan aur bhi hain
nahin main hi mahw-e-fughan aur bhi hain
abhi ye jafa ka hai aaghaz ai dil
wafa ke abhi imtihan aur bhi hain
nahin ek falak ki hai mujh par inayat
mere haal par mehrban aur bhi hain
hamin se hai kyun lag barq-e-tapan ko
chaman mein kai aashiyan aur bhi hain
rah-e-ishq mein miT gae hum to kya gham
rah-e-ishq mein karwan aur bhi hain
kaha jab se hai haal-e-dil un se apna
wo mujh se hue bad-guman aur bhi hain
watan ki taraqqi pe KHush ho na 'afat'
abhi be-kas-o-be-makan aur bhi hain

Ghazal
Asiran-e-ishq-e-butan aur bhi hain
Lalan Chaudhary