asir-e-sham hain Dhalte dikhai dete hain
ye log nind mein chalte dikhai dete hain
wo ek makan ki us mein koi nahin rahta
magar charagh se jalte dikhai dete hain
ye kaisa rang nazar aaya us ki aankhon mein
ki sare rang badalte dikhai dete hain
wo kaun log hain jo tishnagi ki shiddat se
kanar-e-ab pighalte dikhai dete hain
andheri raat mein bhi shahr ke darichon se
hamein to chand nikalte dikhai dete hain
Ghazal
Asir-e-sham hain Dhalte dikhai dete hain
Sabir Waseem