اردو हिंदी
Asir-e-panja-e-ahd-e-shabab kar ke mujhe | Shaahi Shayari
asir-e-panja-e-ahd-e-shabab kar ke mujhe

Ghazal

Asir-e-panja-e-ahd-e-shabab kar ke mujhe

Muztar Khairabadi

;

asir-e-panja-e-ahd-e-shabab kar ke mujhe
kahan gaya mera bachpan KHarab kar ke mujhe

kisi ke dard-e-mohabbat ne umr-bhar ke liye
KHuda se mang liya intiKHab kar ke mujhe

ye un ke husn ko hai surat-afrin se gila
ghazab mein Dal diya la-jawab kar ke mujhe

wo pas aane na pae ki aai maut ki nind
nasib so gae masruf-e-KHwab kar ke mujhe

mere gunah ziyaada hain ya teri rahmat
karim tu hi bata de hisab kar ke mujhe

main un ke parda-e-be-ja se mar gaya 'muztar'
unhon ne mar hi Dala hijab kar ke mujhe