اردو हिंदी
Asir-e-KHwab nai justuju ke dar kholen | Shaahi Shayari
asir-e-KHwab nai justuju ke dar kholen

Ghazal

Asir-e-KHwab nai justuju ke dar kholen

Ambarin Salahuddin

;

asir-e-KHwab nai justuju ke dar kholen
hawa pe hath rakhen aur apne par kholen

sameTe apne sarabon mein barishon ka jamal
kahan ka qasd hai ye raaz KHush-nazar kholen

use bhulane ki phir se karen nai sazish
chalo ki aaj koi nama-e-digar kholen

ulajhti jati hain girhen adhure lafzon ki
hum apni baaton ke sare agar magar kholen

jo KHwab dekhna tabir khojna ho kabhi
to pahle raat ke lipTe hue bhanwar kholen

ek inT samne diwar se nikalen ab
chalo ki phir se naya koi dard-e-sar kholen