اردو हिंदी
Asir-e-KHak bhi hun KHak se riha bhi hun main | Shaahi Shayari
asir-e-KHak bhi hun KHak se riha bhi hun main

Ghazal

Asir-e-KHak bhi hun KHak se riha bhi hun main

Farhat Ehsas

;

asir-e-KHak bhi hun KHak se riha bhi hun main
main ji raha hun to dekho mara paDa bhi hun main

main ek lamha-e-hazir bila-siyaq-o-sabaq
aur apne lamha-e-hazir ka hafiza bhi hun main

main ek fard-e-saf-ara maashre ke KHilaf
aur ek fard mein pura muashra bhi hun main

nikal bhi aaya hun us kucha-e-taghaful se
aur us ke dar pe bahut sa paDa hua bhi hun main

main apni KHak mein lat-path paDa hua hun abhi
magar na bhul ki parwarda-e-hawa bhi hun main

kisi bhi lafz ke jaisa nahin hai lafz mera
idhar-udhar se bahut sa kaha-suna bhi hun main

agarche Thik se banda bhi main nahin 'ehsas'
magar kabhi kabhi ek lamha-e-KHuda bhi hun main