asir-e-ishq-e-maraz hain to kya dawa karte
jo intiha ko pahunchte to ibtida karte
agar zamane mein apne kabhi wafa karte
dahan-e-zaKHm taDapne pe kyun hansa karte
mariz lazzat-e-fariyaad kah nahin sakte
jo nale kaam na aate to chup raha karte
hum un se mil ke bhi furqat ka haal kah na sake
maza visal ka khote agar gila karte
mazaq-e-dard se na-waqifi nahin achchhi
kabhi kabhi to meri dastan suna karte
shab-e-firaq gawara na thi magar dekhi
ab aur KHatir-e-mehman ziyaada kya karte
dar-e-qafas na khula qadr-e-sabr kar sayyaad
taDapte hum to pahaDon mein rasta karte
ise jala ke use aag di bura na kiya
jigar jo rakhte the aaKHir wo dil ko kya karte
zaban walon se sun sun ke hai yaqin 'saqib'
ki bolte to sanam bhi KHuda KHuda karte
Ghazal
Asir-e-ishq-e-maraz hain to kya dawa karte
Saqib Lakhnavi