asir-e-hafiza ho aaj ke jahan mein aao
mukalme ke liye asr ki zaban mein aao
pae sabaat-e-taghayyur pukarte hue guzre
chhaten shikasta hain niklo nae makan mein aao
zamin ka waqt se jhagDa hai KHud nipaTte rahenge
kaha hai kis ne ki tum un ke darmiyan mein aao
ye aaTh pahr ki duniya tumhein bataun ki kya hai
nikal ke jism se kuchh der apni jaan mein aao
tumhein tumhaari alif did mein main dekhna chahun
nazar bacha ke zamane se mere dhyan mein aao
Ghazal
Asir-e-hafiza ho aaj ke jahan mein aao
Aftab Iqbal Shamim