asir-e-bazm hun KHalwat ki justuju mein hun
main apne aap se milne ki aarzu mein hun
meri sarisht mein rang-e-bahaar hai lekin
bahut dinon se kisi bagh-e-be-numu mein hun
to mujh ko bhul gaya hai magar mere mutrib
main dard ban ke tere naghma-e-gulu mein hun
KHizan-rasida kisi naKHl-e-nim-jaan ke tale
mujhe bhi dekh usi sham-e-zard-ru mein hun
bhaTakta rahta hun sham-o-sahar nahin malum
main kisi talash mein hun kis ki justuju mein hun
wo jis ke tarz-e-masihai par hai shahr nisar
usi ki tegh se Duba hua lahu mein hun
main ek aatish-e-KHwab-afrida ki surat
kabhi charagh ki lau mein kabhi subu mein hun
tu mere lafzon se bahar mujhe talash na kar
chhupa hua main kahin apni guftugu mein hun
pukarta hun madad ko koi nahin aata
sitam ki sham hai aur nargha-e-adu mein hun
Ghazal
Asir-e-bazm hun KHalwat ki justuju mein hun
Farasat Rizwi