اردو हिंदी
Ashkon se kab miTe hain daman ke dagh yaro | Shaahi Shayari
ashkon se kab miTe hain daman ke dagh yaro

Ghazal

Ashkon se kab miTe hain daman ke dagh yaro

Ajay Sahaab

;

ashkon se kab miTe hain daman ke dagh yaro
aise nahin bujhenge gham ke charagh yaro

har aadmi ke qad se us ki qaba baDi hai
suraj pahan ke nikle dhundle charagh yaro

un mein KHayal-e-nau ke kaise ugenge paude
banjar hain mazhabon se jin ke dimagh yaro

roz-e-azal se insan hai khoj mein KHuda ki
kis ko mila hai lekin us ka suragh yaro

aankhon mein ab na aansu dil mein bhi gham nahin hai
kab ke chhalak chuke hain sare ayagh yaro