ashkon se ba-rang-e-ab hum ne
dariya ko likha sarab hum ne
hum KHud se sawal kar rahe the
lo DhunD liya jawab hum ne
dekha nahin us ko kitne din se
ungli pe kiya hisab hum ne
ab apni nigah darmiyan hai
dekha tujhe be-naqab hum ne
kya kya na hamare ji mein aai
kuchh tum ko diya jawab hum ne
jugnu bhi na de sake na de wo
manga nahin aaftab hum ne
ek gham hai use bhi bhul jaen
pi rakkhi hai kya sharab hum ne
aise ki suno to hans paDo tum
dekhe hain ajib KHwab hum ne

Ghazal
Ashkon se ba-rang-e-ab humne
Mushaf Iqbal Tausifi