ashkon mein husn-e-dost dikhati hai chandni
shabnam ko chaar chand lagati hai chandni
ab bhi udas udas hain raaten tere baghair
ab bhi bujhi bujhi nazar aati hai chandni
jis ne charagh-e-sham-e-ghariban bujha diya
us hath ka mazaq uDati hai chandni
tere farogh-e-husn se ye bhi na ho saka
nazron ke hausle to baDhati hai chandni
KHush-bu-e-intizar se mahki hui hai raat
'qabil' na jaane kis ko bulati hai chandni
Ghazal
Ashkon mein husn-e-dost dikhati hai chandni
Qabil Ajmeri