ashk yun bahte hain sawan ki jhaDi ho jaise
ya kahin pahle-pahal aankh laDi ho jaise
kitni yaadon ne sataya hai meri yaad ke sath
gham-e-dauran gham-e-jaanan ki kaDi ho jaise
bu-e-kakul ki tarah phail gaya shab ka sukut
teri aamad bhi qayamat ki ghaDi ho jaise
yun nazar aate hain iKHlas mein Dube hue dost
dushmanon par koi uftad paDi ho jaise
jalwa-e-dar idhar jannat-e-didar udhar
zindagi aaj dorahe pe khaDi ho jaise
yun KHayal aate hi har sans mein mahsus hua
gham-e-mahbub teri umr baDi ho jaise
Ghazal
Ashk yun bahte hain sawan ki jhaDi ho jaise
Raza Hamdani