ashk Tapken lakh honTon ki hansi jati nahin
aazmaya to hai gham ne par KHushi jati nahin
us ki har neamat pe na-shukri kiye jate hain hum
zehn mein iman hai dil ki kafiri jati nahin
aaj kal mahaul mein bhi ram jaane kya ghula
ab hawa ki jaane kyun aawargi jati nahin
ek kasak kam ho gai to dusri aa jaegi
in sahaaron ki wajh se shaeri jati nahin
nam par mai ke na jaane kya pilaya hai mujhe
hosh mein rahte hue bhi be-KHudi jati nahin
kya bataen hum ki sahab raushni ke waste
ghar jalaya KHud jale hain tirgi jati nahin
bewafa ne har qadam pe hum ko dhoke to diye
hum bhi ziddi hain ghazab ke aashiqi jati nahin
galiyan do-chaar badle mein na de pai kabhi
hun main sada dil ya meri buz-dili jati nahin
faKHr hai mujh ko to 'taruna' dushmani par dost ki
dushmani itni baDhi par dosti jati nahin
Ghazal
Ashk Tapken lakh honTon ki hansi jati nahin
Taruna Mishra