اردو हिंदी
Ashk par gudaz-dil hashiya chaDhata hai | Shaahi Shayari
ashk par gudaz-dil hashiya chaDhata hai

Ghazal

Ashk par gudaz-dil hashiya chaDhata hai

Urooj Zaidi Badayuni

;

ashk par gudaz-dil hashiya chaDhata hai
ek zara se qisse ko dastan banata hai

han wo kafir-e-nemat kor-zauq hai yaro
jo gham-e-mohabbat ko hadisa batata hai

jite-ji ka rishta hai ruh-o-jism ka rishta
dhup ke taaqub mein saya mat khata hai

jab zaban-bandi ho nazren kaam karti hain
ek payam aata hai ek payam jata hai

pattharon ke sine mein aaine bhi hire bhi
zulmaton ka KHaliq hi mehr-o-mah ugata hai

kyun jawar-e-manzil mein sust-e-gam hain rahi
qurb ka yaqin shayad fasla baDhata hai

ai 'uruj' ye duniya qadr-e-dard kya jaane
kyun zamana-sazon ko haal-e-dil sunata hai