ashk ko dariya banaya aankh ko sahil kiya
main ne mushkil waqt ko kuchh aur bhi mushkil kiya
ek mayusi hi dil mein kab talak rahti mere
main ne mayusi mein dil ka KHauf bhi shamil kiya
nind ki imdad jaise hi baham pahunchi mujhe
aankh ke maqtal mein apne KHwab ko daKHil kiya
warna tera chhoD jaana jaan le jata meri
karb mein aansu mila kar dard ko zail kiya
jaise duniya dekhti hai waise kab tak dekhte
dida-e-bina se dekhen KHud ko is qabil kiya
ek chehra aur do aankhen le gae bazar mein
girwi rakh ke un ko phir ek aaina hasil kiya
warna wo kab baat sunta tha kisi ki bazm mein
main ne apne sher se us shaKHs ko qail kiya
be-niyazi se guzare umr ke battis sal
kho diya kab jaane tujh ko kab tujhe hasil kiya
raat-din ulTa laTak kar zat ke kuen mein 'zeb'
soch ki na-puKHtagi ko mashq se kaamil kiya
Ghazal
Ashk ko dariya banaya aankh ko sahil kiya
Aurangzeb