ashk ki aisi farawani pe rashk aata hai
chashm-e-nam teri pareshani pe rashk aata hai
jab kisi aalam-e-hairat ki KHabar lagti hai
rashk aata hai jahan-bani pe rashk aata hai
tabish-e-mah bhi kuchh kam to nahin hai lekin
yar ke chehra-e-nurani pe rashk aata hai
auj-e-aflak pe tanhai ko le aaya tha
is liye kucha-e-virani pe rashk aata hai
husn-e-ahmad ka hi atiya hai ye husn-e-duniya
husn ki itni farawani pe rashk aata hai
Ghazal
Ashk ki aisi farawani pe rashk aata hai
Hassan Ahmad Awan