ashk jo aankh mein ubalte hain
dip dil ke unhi se jalte hain
mausamon ka gila nahin karte
gir ke jo aadmi sambhalte hain
gham-e-jaan-e-bahaar ke sadqe
gham jahan ke isi se Talte hain
un ko aaKHir junun se kya hasil
pairahan roz jo badalte hain
hum ne garmi-e-shama kya karni
garmi-e-shauq mein pighalte hain
waiz-e-na-samajh piyen sharbat
hum kahan KHuld se bahalte hain
kaif o masti 'shujaa' falak tak hai
dard yun qalb mein machalte hain
Ghazal
Ashk jo aankh mein ubalte hain
Shuja