ashk girne ki sada aai hai
bas yahi rahat-e-goyai hai
sath par tir rahe hain din raat
nind ek KHwab ki gahrai hai
in parindon ka palaT kar aana
ek taKHayyul ki pazirai hai
aks bhi ghair hai aaina bhi
ye tahayyur hai ki tanhai hai
un darichon se ki jo the hi nahin
ek udasi hai ki dar aai hai
dil numudar hua hai dil mein
aankh ek aankh se bhar aai hai
us ki aaankhon ki KHamoshi 'adil'
Dubte waqt ki goyai hai
Ghazal
Ashk girne ki sada aai hai
Zulfiqar Aadil