ashk-e-rawan ki nahr hai aur hum hain dosto
us bewafa ka shahr hai aur hum hain dosto
ye ajnabi si manzilen aur raftagan ki yaad
tanhaiyon ka zahr hai aur hum hain dosto
lai hai ab uDa ke gae mausamon ki bas
barkha ki rut ka qahr hai aur hum hain dosto
phirte hain misl-e-mauj-e-hua shahr shahr mein
aawargi ki lahr hai aur hum hain dosto
sham-e-alam Dhali to chali dard ki hawa
raaton ki pichhla pahr hai aur hum hain dosto
aankhon mein uD rahi hai luTi mahfilon ki dhul
ibrat-sara-e-dahr hai aur hum hain dosto
Ghazal
Ashk-e-rawan ki nahr hai aur hum hain dosto
Muneer Niyazi