ashk-e-KHunin hai shafaq aaj meri aankhon mein
sanjh phuli hai tere baj meri aankhon mein
ek din nain jharoke ki taraf sin guzro
mardum-e-chashm hai muhtaj meri aankhon mein
baiTh kar taKHt-e-murassa pe meri putli ke
hai mubarak jo karo raj meri aankhon mein
bagh mein nargis-e-hairan ne tujhe dekh kahi
teri aankhon si kahan laj meri aankhon mein
aaj ki raat ajab raat mubarak hai 'siraj'
us ki surat kun hai mearaj meri aankhon mein
Ghazal
Ashk-e-KHunin hai shafaq aaj meri aankhon mein
Siraj Aurangabadi

