ashk-e-hasrat mein kyun lahu hai abhi
sulh ki un se guftugu hai abhi
dil pasheman-e-justuju hai abhi
khoi khoi si aarzu hai abhi
chaak-e-dil par na kyun hansi aae
ye to shaista-e-rafu hai abhi
muskura len haqiqaten mujh par
naqsh-e-baatil ki justuju hai abhi
jalwe betab aur nazar bechain
nam donon ka justuju hai abhi
KHairiyat dil ki puchhne wale
chain se teri aarzu hai abhi
kaise phandega bagh ki diwar
tu giraftar-e-rang-o-bu hai abhi
dam ghuTa jata hai mohabbat ka
band hi band guftugu hai abhi
saikDon aaine badal Dale
apni hi shakl ru-ba-ru hai abhi
gul hain aatish-kade KHudi ke 'siraj'
sard insan ka lahu hai abhi
Ghazal
Ashk-e-hasrat mein kyun lahu hai abhi
Siraj Lakhnavi