ashk-e-gulgun ko na KHun-e-shohada ko dekha
shoKH jaisa ki tere rang-e-hina ko dekha
tujh ko dekha na tere naz-o-ada ko dekha
teri har tarz mein ek shan-e-KHuda ko dekha
hain tujhe dekh ke huran-e-bahishti betab
ya tere kushta-e-andaza-o-ada ko dekha
tishna-e-ab-e-dam-e-tegh ne pina kaisa
aankh uTha kar na kabhi aab-e-baqa ko dekha
mujhe kafir hi batana hai ye waiz kam-baKHt
main ne bandon mein kai bar KHuda ko dekha
nikhat-e-zulf-e-moambar ko chaman mein paya
aate jate tere kuche mein saba ko dekha
'mail' iman hai bil-ghaib hamein logon ka
ki payambar ko hai dekha na KHuda ko dekha
Ghazal
Ashk-e-gulgun ko na KHun-e-shohada ko dekha
Mirza Mayal Dehlvi