ashk-e-gul-rang nisar-e-gham-e-jaanana karen
aaj teri hi KHushi ai dil-e-diwana karen
dard-mandon se ye kah do ki ba-ain-e-niyaz
dil ko zauq-karam yar se begana karen
taki aasuda-e-hirman dil-e-gham-kosh na ho
do ghaDi zikr-e-mai-o-saqi-o-paimana karen
bu-e-KHush teri nahin jin ke masham-e-jaan mein
rang-o-nikhat ka gulon ko wahi paimana karen
kaba-o-dair-o-kalisa ki fazaon se alag
aao tamir mohabbat ka jilau-KHana karen
itni fursat hi kahan hai ki tere soKHta-jaan
jalne marne mein ham-ahangi-e-parwana karen
apni hasti ki faqat itni hai rudad 'asar'
jaise mansub haqiqat se ek afsana karen
Ghazal
Ashk-e-gul-rang nisar-e-gham-e-jaanana karen
Asar Lakhnavi