اردو हिंदी
Ashk-e-gham shorish-e-pinhan ki KHabar dete hain | Shaahi Shayari
ashk-e-gham shorish-e-pinhan ki KHabar dete hain

Ghazal

Ashk-e-gham shorish-e-pinhan ki KHabar dete hain

Mohammad Mansha ur Rahman Khan Mansha

;

ashk-e-gham shorish-e-pinhan ki KHabar dete hain
ye wo qatre hain jo tufan ki KHabar dete hain

qalb-e-sozan mein shab-o-roz machalte jazbaat
garmi-e-shauq-e-farawan ki KHabar dete hain

in sisakte hue ghunchon ko hiqarat se na dekh
ye tujhe nazm-e-gulistan ki KHabar dete hain

tere mai-KHane ke dam toDte aaen saqi
kisi taghir-e-numayan ki KHabar dete hain

wo ufuq par jo ujale se nazar aate hain
aamad-e-subh-e-daraKHshan ki KHabar dete hain

sehn-e-gulshan mein ba-har-an badalte hue rang
ek nae daur-e-bahaaran ki KHabar dete hain

haq to ye hai ki KHalaon ke safar ai 'mansha'
azmat-e-rutba-e-insan ki KHabar dete hain