ashk Dhalte nahin dekhe jate
dil pighalte nahin dekhe jate
phul dushman ke hon ya apne hon
phul jalte nahin dekhe jate
titliyan hath bhi lag jaen to
par masalte nahin dekhe jate
jabr ki dhup se tapti saDken
log chalte nahin dekhe jate
KHwab-dushman hain zamane wale
KHwab palte nahin dekhe jate
dekh sakte hain badalta sab kuchh
dil badalte nahin dekhe jate
karbala mein ruKH-e-asghar ki taraf
tir chalte nahin dekhe jate
Ghazal
Ashk Dhalte nahin dekhe jate
Abdullah Javed