ashk bhejen mauj ubhaaren abr jari kijiye
mehrban sail-e-bala ki aabyari kijiye
ai charagh-e-taq-e-jaanan ai hawa-e-ku-e-dost
apni kaifiyyat zara hum par bhi tari kijiye
sham-e-hijran mein sitaron ko na Thahraen sharik
aaina-KHane mein aa kar KHud-shumari kijiye
ashk-bari sina-chaaki dil-KHarashi ho chuki
lije sahib ishq ka farman jari kijiye
honT kahte hain baha dije lahu ashaar mein
zulf kahti hai miyan tarkib bhaari kijiye
dekhiye mah o sitara ghumiye arz o sama
chaliye bahar baad-e-KHud-sar ki sawari kijiye
ishq ka agla paDaw main hun main duniya-parast
al-madad ai qais ai farhad yari kijiye
yun to malne se rahi ye saltanat so shahryar
panw paD kar roiye minnat-gizari kijiye
Ghazal
Ashk bhejen mauj ubhaaren abr jari kijiye
Ahmad Shahryar