ashk ban kar jo chhalakti rahi miTTi meri
shoale kuchh yun bhi ugalti rahi miTTi meri
mere hone ka sabab mujh ko batati lekin
mere pairon mein dhaDakti rahi miTTi meri
kuchh to baqi tha meri miTTi se rishta mera
meri miTTi ko tarasti rahi miTTi meri
dur pardesh ke tare mein bhi shabnam ki tarah
meri aankhon mein chamakti rahi miTTi meri
lok-nrityon ke kai tal suhane ban kar
mere pairon mein thirakti rahi miTTi meri
sirf roTi ke liye dur watan se apne
dar-ba-dar yun hi bhaTakti rahi miTTi meri
main jahan bhi tha mera sath na chhoDa us ne
zehn mein mere mahakti rahi miTTi meri
koshishen jitni bachane ki ise ki main ne
aur utni hi dhaDakti rahi miTTi meri
Ghazal
Ashk ban kar jo chhalakti rahi miTTi meri
Dwijendra Dwij