ashk bahao aah bharo fariyaad karo
kuchh to qafas mein shikwa-e-istibdad karo
har-su marg-asar KHamoshi chhai hai
dard ke maro shorish-e-hashr ijad karo
sahra sahra KHak uDane se hasil
qarya qarya qasr-e-sitam barbaad karo
arz-e-tamanna par ab qadghan kya mani
apne wade apni qasmen yaad karo
aao aawara-o-gurezan ummido
ghar ki virani ko phir aabaad karo
shauq-e-talab hi awwal-o-aKHir manzil hai
qais bano ya pairwi-e-farhad karo
auron ko targhib-e-tarab dene walo
hum aise durweshon ko bhi shad karo
Ghazal
Ashk bahao aah bharo fariyaad karo
Shaad amritsarii