اردو हिंदी
Ashk-bari nahin furqat mein sharar-bari hai | Shaahi Shayari
ashk-bari nahin furqat mein sharar-bari hai

Ghazal

Ashk-bari nahin furqat mein sharar-bari hai

Saba Akbarabadi

;

ashk-bari nahin furqat mein sharar-bari hai
aankh mein KHun ka qatra hai ki chingari hai

har nafas zist guzar jaane ka gham tari hai
maut ka KHauf bhi ek ruh ki bimari hai

bawajude-ki mohabbat koi zanjir nahin
phir bhi dil ko mere ehsas-e-giraftari hai

kuchh is andaz se us ne gham-e-furqat baKHsha
jaise ye bhi koi inam-e-wafadari hai

gham-e-KHamosh ko be-wajh tasalli dena
dil-nawazi ki ye surat bhi dil-azari hai

roz haalat badalte hain ba-shart-e-taufiq
zist majmua-e-asani o dushwari hai

jagna ishq mein har ek ki taqdir nahin
nind qurban ho jis par ye wo bedari hai

ki mere hath se yun nazr-e-bahaar us ne qubul
jaise ye phul nahin hai koi chingari hai

ek taghaful se hua ishq ka dil ko ehsas
us ki ghaflat ka natija meri hushyari hai

yun bhi aaraish-e-paiham mein ulajhta hai koi
ye KHud-arai hai dekho ki KHud-azari hai

matam-e-ishq se fursat nahin milti hai 'saba'
roz-o-shab apni umidon ko aza-dari hai