اردو हिंदी
Ashk-bari ka meri aankhon ne ye bandha hai jhaD | Shaahi Shayari
ashk-bari ka meri aankhon ne ye bandha hai jhaD

Ghazal

Ashk-bari ka meri aankhon ne ye bandha hai jhaD

Waliullah Muhib

;

ashk-bari ka meri aankhon ne ye bandha hai jhaD
Dubte dikhlai den hain ta-kamar sare pahaD

ghair ko tu ne ishaarat ki chura kar hum se aankh
hum bhi ek ayyar hain pyare gae fil-faur taD

mujh ko kya be-KHud kiya saqi ki chashm-e-mast ne
ek nigah-e-tund se us ne safen Dalin pachhaD

un ko phir shor-e-qayamat bhi uTha sakta nahin
mard rah-e-ishq mein jo baiThte hain panw gaD

hum to mayus-e-rihai is baras hain ham-safir
baal-o-par sayyaad ne Dale qafas mein sab ukhaD

jab talak dil mein na ho ek shaKHs ki ulfat ko rah
kholna be-faeda hai dekh use ghar ke kiwaD

wo jo laila hai mere dil mein sune us ka jo shor
qais nikle gor se bahar kafan ko chir-phaD

shaiKH mai-KHana ki mat chal rah mai-KHwaron se Dar
mil ke do bad-mast denge aap ki saj wan bigaD

yan nafas mein karte hain apni par-afshani ki sair
farighul-baal ab hain gul-chini se hum daman ko jhaD

parda-e-mina mein rakhti hai sabhon se tak-jhank
duKHtar-e-raz se nahin dekhi koi gajjhi khilaD

sukh kar har ustuKHwan jun ne hai us ke ishq mein
sach hai jo mutrib pisar ka uThta hai sine mein haD

chandni mein jab wo nau-KHat nimcha le hath mein
mah us ko dekh lene ki sipar le munh pe aaD

apne rahne ko jo tu chahe so kar un mein pasand
do makan duniya mein hain aabaad ek aur ek ujaD

mai-kade mein mast hain aur shor un ka haw ho
madrase mein shaiKH hain aur wae-waila tauba dhaD

shakl-e-mah us mehr-wash bin apni nazron mein 'muhib'
hai ye kuchh pur-dud jun jhukta hai bhaDbhunje ka bhaD