ashk aankhon mein kab nahin aata 
lohu aata hai jab nahin aata 
hosh jata nahin raha lekin 
jab wo aata hai tab nahin aata 
sabr tha ek monis-e-hijran 
so wo muddat se ab nahin aata 
dil se ruKHsat hui koi KHwahish 
girya kuchh be-sabab nahin aata 
ishq ko hausla hai shart arna 
baat ka kis ko Dhab nahin aata 
ji mein kya kya hai apne ai hamdam 
par suKHan ta-ba-lab nahin aata 
dur baiTha ghubar-e-'mir' us se 
ishq bin ye adab nahin aata
        Ghazal
Ashk aankhon mein kab nahin aata
Mir Taqi Mir

