ashk aankhon mein Dar se la na sake
dil ki bhaDki hui bujha na sake
na hili jab zaban nazakat se
rah gae dekh kar bula na sake
thin jo us mein haya ki kuchh baaten
shikwa mera wo lab pe la na sake
kya hue tere hausle ai ashk
harf-e-taqdir ko miTa na sake
tha ye KHatra kahin pasand na hon
galiyan bhi mujhe suna na sake
go bahut pas-e-ghair tha lekin
aankh hum se bhi wo chura na sake
panw chuma kiye hina ki tarah
jab koi aur rang la na sake
KHamushi thi ba-shakl-e-zaKHm mujhe
lab tak apne sawal aa na sake
na mali us ne panw mein mehndi
rang apna adu jama na sake
iztirab-e-qaza hua ye 'nasim'
ki gale bhi use laga na sake
Ghazal
Ashk aankhon mein Dar se la na sake
Naseem Dehlvi