ashk aankhon mein chhupa leta hun main
gham chhupane ke liye hansta hun main
sharm aati thi kabhi tujh se mujhe
zindagi ab KHud se sharminda hun main
muddaton se aaina dekha nahin
koi batlae mujhe kaisa hun main
gham KHushi wahshat pareshani sakun
saikDon chehron ka ek chehra hun main
hai mujhi mein ham-nafas mera koi
sans wo leta hai aur zinda hun main
itne khae hain sarabon se fareb
samne dariya hai aur pyasa hun main
yaad aaya hai mujhe ek ham-safar
jab kabhi is rah se guzra hun main
chaar jaanib ek sannaTa sukut
ghaaliban basti mein ab tanha hun main
mujh ko chhune ka na kar arman 'shajar'
to mujhe mahsus kar kaisa hun main
Ghazal
Ashk aankhon mein chhupa leta hun main
Surender Shajar