ashaar rang rup se mahrum kya hue
alfaz ne pahan liye mani nae nae
bunden paDi thin chhat pe ki sab log uTh gae
qudrat ke aadmi se ajab silsile rahe
wo shaKHs kya hua jo muqabil tha sochiye
bas itna kah ke aaine KHamosh ho gae
is aas pe ki KHud se mulaqat ho kabhi
apne hi dar par aap hi dastak diya kiye
patte uDa ke le gai andhi hawa kahin
ashjar be-libas zamin mein gaDe hue
kya baat thi ki sari faza bolne lagi
kuchh baat thi ki der talak sochte rahe
har sansanati shai pe thi chadar dhuen ki 'raaz'
aakash mein shafaq thi na pani pe daere
Ghazal
Ashaar rang rup se mahrum kya hue
Raj Narayan Raaz