ashaar mein jo mere kiran justuju ki hai
miras ye bhi tere hi mohar-e-numu ki hai
nazron mein ab bhi hain tere lahje ke mah-o-najm
ab bhi samaaton mein chamak guftugu ki hai
teri pukar hai ki ye bunden hain os ki
aawaz-e-naghma hai ki sada aab-ju ki hai
diwar-e-zabt TuT bhi sakti hai kuchh karun
fawwara chhuT jae wo haalat lahu ki hai
yun phul to baraste na the ku-e-yar mein
ye hum guzarte hain ki sawari adu ki hai
pyason ko intiKHab ki jurat na koi haq
kya puchhiye huzur ye kis ke subu ki hai
'arshad' wo samne hi to hai shaKH-e-dastaras
duri bas ek jast-e-buland-arzu ki hai
Ghazal
Ashaar mein jo mere kiran justuju ki hai
Arshad Abdul Hamid